اردو हिंदी
Rang-o-sifat-e-yar mein dil Dhal nahin raha | Shaahi Shayari
rang-o-sifat-e-yar mein dil Dhal nahin raha

Ghazal

Rang-o-sifat-e-yar mein dil Dhal nahin raha

Mohammad Mustahsan Jami

;

rang-o-sifat-e-yar mein dil Dhal nahin raha
shoalon ki zad mein phul hai aur jal nahin raha

wo dhup hai ki peD bhi jalne pe aa gaya
wo bhuk hai ki shaKH pe ab phal nahin raha

le aao meri aankh ki lau ke qarib use
tum se bujha charagh agar jal nahin raha

hum log ab zaman-o-zamana se dur hain
yani yahan pe waqt bhi ab chal nahin raha