rang juda aahang juda mahkar juda
pahle se ab lagta hai gulzar juda
naghmon ki taKHliq ka mausam bit gaya
TuTa saz to ho gaya tar se tar juda
be-zari se apna apna jam liye
baiTha hai mahfil mein har mai-KHwar juda
mila tha pahle darwaze se darwaza
lekin ab diwar se hai diwar juda
yaro main to nikla hun jaan bechne ko
tum koi ab socho karobar juda
sochta hai ek shair bhi ek tajir bhi
lekin sab ki soch ka hai mear juda
kya lena is girgiT jaisi duniya se
aae rang nazar jis ka har bar juda
apna to hai zahir-o-baatin ek magar
yaron ki guftar juda kirdar juda
mil jata hai mauqa KHuni lahron ko
hathon se jab hote hain patwar juda
kis ne diya hai sada kisi ka sath 'qatil'
ho jaana hai sab ko aaKHir-kar juda
Ghazal
Rang juda aahang juda mahkar juda
Qateel Shifai