rang hawa se chhuT raha hai mausam-e-kaif-o-masti hai
phir bhi yahan se hadd-e-nazar tak pyason ki ek basti hai
dil jaisa an-mol ratan to jab bhi gaya be-ram gaya
jaan ki qimat kya mangen ye chiz to KHair ab sasti hai
dil ki kheti sukh rahi hai kaisi ye barsat hui
KHwabon ke baadal aate hain lekin aag barasti hai
afsanon ki qindilen hain an-dekhin mehrabon mein
log jise sahra kahte hain diwanon ki basti hai
Ghazal
Rang hawa se chhuT raha hai mausam-e-kaif-o-masti hai
Rahi Masoom Raza