اردو हिंदी
Rang-e-sharab se meri niyyat badal gai | Shaahi Shayari
rang-e-sharab se meri niyyat badal gai

Ghazal

Rang-e-sharab se meri niyyat badal gai

Akbar Allahabadi

;

rang-e-sharab se meri niyyat badal gai
waiz ki baat rah gai saqi ki chal gai

tayyar the namaz pe hum sun ke zikr-e-hur
jalwa buton ka dekh ke niyyat badal gai

machhli ne Dhil pai hai luqme pe shad hai
sayyaad mutmain hai ki kanTa nigal gai

chamka tera jamal jo mahfil mein waqt-e-sham
parwana be-qarar hua shama jal gai

uqba ki baz-purs ka jata raha KHayal
duniya ki lazzaton mein tabiat bahal gai

hasrat bahut taraqqi-e-duKHtar ki thi unhen
parda jo uTh gaya to wo aaKHir nikal gai