اردو हिंदी
Rang-e-gul-e-shagufta hun aab-e-ruKH-e-chaman hun main | Shaahi Shayari
rang-e-gul-e-shagufta hun aab-e-ruKH-e-chaman hun main

Ghazal

Rang-e-gul-e-shagufta hun aab-e-ruKH-e-chaman hun main

Mirza Mohammad Taqi Hawas

;

rang-e-gul-e-shagufta hun aab-e-ruKH-e-chaman hun main
sham-e-haram charagh-e-dair qashqa-e-barahman hun main

kasrat-e-jaur-e-yar se sab hain ye mere juzw-e-tan
soz-o-malal-o-yas-o-dard ranj-o-gham-o-mehan hun main

main hun nasim to bahaar main hun shamim zulf-e-yar
go ki nazar se hun nihan daKHil-e-anjuman hun main

sarw-nashin aur hain shaKH-nashin gul aur hain
qumri-e-ashiyan-KHarab bulbul-e-be-watan hun main

KHanda-zanan hain tujh pe go ye KHirdan-e-rozgar
ahl-e-KHirad mein ai 'hawas' raunaq-e-anjuman hun mein