rang aur rup se jo baala hai
kis qayamat ke naqsh wala hai
chap ubhri hai dil ke andar se
koi palkon pe aane wala hai
zindagi hai lahu ka ek chhinTa
umr zaKHmon ki dip-mala hai
tol sakta hai kaun KHushbu ko
phir bhi hum ne ye rog pala hai
kitna aabaad hai ghana jangal
kaisa sunsan ye shiwala hai
dekh is teri chandni-shab ne
kitne taron ko raund Dala hai
kapkapane lage hain lab us ke
jaane kya baat karne wala hai

Ghazal
Rang aur rup se jo baala hai
Wazir Agha