rang ab yun teri taswir mein bharta jaun
tujh pe rang aae main jaan se bhi guzarta jaun
wo diya hun ki hawaon se bhi Darta jaun
fart-e-pindar se phir raqs bhi karta jaun
ajab aashob diya mere KHuda ne mujh ko
ek tamanna-e-masihai mein marta jaun
mujh ko jhuTlati rahin wo meri munkir aanhken
aur main surat-e-KHurshid ubharta jaun
mere chehre pe na jao ki mera husn hai ye
apne likkhe hue lafzon mein nikharta jaun
aisi tanhai ka aalam hai ki har shaKHs ke pas
ek pazirai ki hasrat mein Thaharta jaun
'shauq' shaer bhi hun andesha-e-jaan bhi hai mujhe
ruh mein shor karun lafz mein Darta jaun
Ghazal
Rang ab yun teri taswir mein bharta jaun
Razi Akhtar Shauq

