اردو हिंदी
Ramz-ashna-e-fasl-e-bahaaran koi na tha | Shaahi Shayari
ramz-ashna-e-fasl-e-bahaaran koi na tha

Ghazal

Ramz-ashna-e-fasl-e-bahaaran koi na tha

Dil Ayubi

;

ramz-ashna-e-fasl-e-bahaaran koi na tha
sab muddai the chaak-gareban koi na tha

diwane dasht mein bhi nasib aazma chuke
wan bhi sukun-e-qalb ka saman koi na tha

kya kya tere mariz ko the naz dard par
jab bas mein chaaragar ke bhi darman koi na tha

shayad ye kaenat thi mai-KHana in dinon
jab imtiyaz-e-gabr-o-musalman koi na tha

ghabra ke kis ko rah mein ai 'dil' pukarte
apne siwa qarib-e-rag-e-jaan koi na tha