اردو हिंदी
Rakkhi thi taswir tumhaari aankhon mein | Shaahi Shayari
rakkhi thi taswir tumhaari aankhon mein

Ghazal

Rakkhi thi taswir tumhaari aankhon mein

Jeem Jazil

;

rakkhi thi taswir tumhaari aankhon mein
hum ne sari raat guzari aankhon mein

bindiya, chuDi, gajra, kangan ek taraf
sab par bhaari kajal dhaari aankhon mein

mamta ke pahlu mein pahli pahli nind
pahla pahla KHwab kunwari aankhon mein

raat hui to sare badan mein phail gai
din bhar jitni aag utari aankhon mein

sari sari raat tamasha chalta hai
aata hai jab KHwab madari aankhon mein

jite-ji dhundla jae na-mumkin hai
jine ki ummid hamari aankhon mein

'jazil' har manzar se hairat chun chun kar
Dal raha hun bari bari aankhon mein