rakkha nahin ghurbat ne kisi ek ka bharam bhi
mai-KHana bhi viran hai kalisa bhi haram bhi
luTa hai zamane ne mera besh bhi kam bhi
chhina tha tujhe chhin liya hai tera gham bhi
be-ab hua ab to mera dida-e-nam bhi
ai gardish-e-alam tu kisi moD pe tham bhi
sun ai but-e-jaan-dar but-e-simbar ai sun
toDe na gae hum se to patthar ke sanam bhi
main wasl ki bhi kar na saka shiddat-e-gham kam
aaya na kisi kaam tere hijr ka sam bhi
diwar-e-sukun baiTh gai shiddat-e-nam se
barsa hai mere ghar pe agar abr-e-karam bhi
tanhai na puchh apni ki sath ahl-e-junun ke
chalte hain faqat chand qadam rah ke KHam bhi
sahra-e-gham-e-jaan mein bagulon se bacha kaun
miT jaenge ai dost tere naqsh-e-qadam bhi
sunte hain chamakta hai wo chand ab bhi sar-e-baam
hasrat hai ki bas ek nazar dekh len hum bhi
Ghazal
Rakkha nahin ghurbat ne kisi ek ka bharam bhi
Zuhoor Nazar