rakhta hai sada honT ko jun gul ki kali chup
wo ghuncha-dahan aah ye sikha hai bhali chup
sota hai to leta hun main yun chori se bosa
jun munh mein khila de koi misri ki Dali chup
minnat se kaha hum ne to tum aah na bole
jab ghair ne ki gudgudi phir kuchh na chali chup
parwane se aashiq ke tain shama jala kar
phir aap bhi roti hai khaDi baKHt-jali chup
sabzi bhi ugi bagh mein ghunche bhi khile aah
par is mari gungi ke labon se na Tali chup
ghusse mein raqib aata hai jab bhut sa ban kar
paDhta hun main jab dil mein khaDa nat-e-ali chup
mar jaen pa shikwe ki kabhi baat na nikle
ye honT wo hain jin mein azal se hai pali chup
jis dam ye KHabar ja ke raqibon ko hui phir
bas sunte hi sun ho gae aur sans na li chup
ulTi hi samajh yar ki sunta hai 'nazir' aah
zinhaar na kuchh boliyo yan sab se bhali chup
Ghazal
Rakhta hai sada honT ko jun gul ki kali chup
Nazeer Akbarabadi