rahta hai kab ek rawish par aasman
khata hai chakkar pe chakkar aasman
kar diya barbaad ek dam mein mujhe
kya kiya tu ne sitamgar aasman
aah karte hain hazaron dil-figar
par na TuTa tera KHanjar aasman
raund Dalun panw ke niche tujhe
dil mein aata hai jafa-gar aasman
raat ko barsata hai patthar agar
din ko barsata hai aKHgar aasman

Ghazal
Rahta hai kab ek rawish par aasman
Sardar Genda Singh Mashriqi