rahe jo shab ko hum us gul ke sat koThe par
to kya bahaar se guzri hai raat koThe par
ye dhum-dham rahi subh tak aha-ha-ha
kisi ke utre hai jaise baraat koThe par
makan jo aish ka hath aaya ghair se KHali
paTe ke chalne lage phir to hat koThe par
giraya shor kiya galiyan din dhum machi
ajab tarah ki hui wardat koThe par
likhen hum aish ki taKHti ko kis tarah ai jaan
qalam zamin ke upar dawat koThe par
kamand zulf ki laTka ke dil ko le lije
ye jins yun nahin aane ki hat koThe par
KHuda ke waste zine ki rah batlao
hamein bhi kahni hai kuchh tum se baat koThe par
lipaT ke soe jo us gul-badan ke sath 'nazir'
tamam ho gain hal mushkilat koThe par

Ghazal
Rahe jo shab ko hum us gul ke sat koThe par
Nazeer Akbarabadi