اردو हिंदी
Rahe hai aaj kal kuchh is tarah charKH-e-kuhan bigDa | Shaahi Shayari
rahe hai aaj kal kuchh is tarah charKH-e-kuhan bigDa

Ghazal

Rahe hai aaj kal kuchh is tarah charKH-e-kuhan bigDa

Mushtaq Naqvi

;

rahe hai aaj kal kuchh is tarah charKH-e-kuhan bigDa
mare hi aashiyan se jaise ye nazm-e-chaman bigDa

kahan guzri hai sari raat kuchh hum bhi sunen aaKHir
ye ruKH ye chandni chhiTki ye tar-e-pairahan bigDa

baras kar rah gain kaliyan chaman ke farsh-e-rangin par
pakaD kar shaKH jab kal sham wo ghuncha-dahan bigDa

teri nazron hi tak tha sab saliqa ahl-e-mahfil ka
tere uThte hi jaan-e-husn rang-e-anjuman bigDa

kise aata tha jina is se pahle teri duniya mein
sanwara hai mohabbat ne mazaq-e-ruh-o-tan bigDa

gila tha bewafai ka hamein par un se kya kahiye
wo kahte hain ki hai kuchh in dinon tera chalan bigDa