rahe dariya-e-suKHan yunhi rawan mere baad
banjh ho jae na ghaalib ki zaban mere baad
kaun dega unhen KHushbu ka jahan mere baad
kis se lipTenge ye nazuk-badnan mere baad
ku-ba-ku phirti hai ab chaaron-taraf aawara
bu-e-gul ko na mili ja-e-aman mere baad
lakh main nang-e-suKHan hun pa yaqin hai mujh ko
log DhunDenge mera tarz-e-bayan mere baad
chhoD kar jaunga main ghar mein ujale ka subut
kaam aaega ye taqon ka dhuan mere baad
yar sab chal diye bazar-e-hawas ki jaanib
ho gai rah-e-junun kam-guzaran mere baad
main ki KHatam bhi hun KHud apni tabiat ka 'ziya'
qat hua silsila-e-ah-o-fughan mere baad

Ghazal
Rahe dariya-e-suKHan yunhi rawan mere baad
Zia Faruqi