rahbar mila na hum ko koi rahnuma mila
rahzan-sifat hi jo bhi mila ham-nawa mila
har shaKHs be-hisi hi ka ek aaina mila
har rose is nagar mein naya saneha mila
tum bewafa hue to zamana mila tumhein
hum ba-wafa hue to naya aariza mila
fashion mein gharq hain wo taraqqi ke nam par
nam-o-numud ko bhi naya zawiya mila
do doston mein DhunDte hain aap rabta
do bhaiyon mein hum ko baDa fasla mila
man bap ne to baKHshi thi aulad ko KHushi
ab kyun nahif hone pe hai hashiya mila
us ki nawazishat 'umar' ghaur to karo
jis ne KHuda ki man liya rasta mila

Ghazal
Rahbar mila na hum ko koi rahnuma mila
Siddique Umar