rahbar-e-jada-e-manzil pe hansi aati hai
laDkhaDate hue is dil pe hansi aati hai
hasrat-e-qurbat-e-manzil pe hansi aati hai
ab to diwangi-e-dil pe hansi aati hai
yaad kar ke teri surat teri baaten akasr
yun taDapta hai ki is dil pe hansi aati hai
umr gum kar ke faraham kiya saman-e-hayat
ab mujhe zist ke hasil pe hansi aati hai
qulzum-e-gham mein to hote hain kinare bhi bhanwar
jab ye sunta hun to sahil pe hansi aati hai
jagmagata hai jo suraj ki shuaon ke tufail
is bhikari mah-e-kaamil pe hansi aati hai
'soz' har lamha wahi maslahat-e-waqt ki baat
sun ke diwane ko aaqil pe hansi aati hai
Ghazal
Rahbar-e-jada-e-manzil pe hansi aati hai
Soz Najeebabadi