raha wo shahr mein jab tak baDa dabang raha
magar KHud apne KHilaf aap mahw-e-jang raha
hui jo subh to be-barg-o-bar the ashjar
tamam raat hawa ka ajib rang raha
ana pasand tha baisakhiyon ko chhuta kyun
raha wo sarkash-o-baghi magar apang raha
ba-juz darid-o-burid aur kya hai us ka maal
wo phir bhi Dor se TuTi hui patang raha
siyah jazira samundar mein aaftab-ba-dast
zamin se TuT gaya aur zamin ka ang raha
diya hai us ne hamein ek shor-e-be-ahang
hazar sal jo daur-e-rabab-o-chang raha
ye aaina raha KHatt-e-shikast se mahrum
'salim' mahw-e-gham-e-intizar-e-sang raha

Ghazal
Raha wo shahr mein jab tak baDa dabang raha
Saleem Shahzad