اردو हिंदी
Rah rahe hain makin shabon ke | Shaahi Shayari
rah rahe hain makin shabon ke

Ghazal

Rah rahe hain makin shabon ke

Ejaz Gul

;

rah rahe hain makin shabon ke
kya hue Dher surajon ke

aankh mein KHwab munjamid hain
rang barsao hauslon ke

KHun se tai kiye gae hain
raste zard mausamon ke

maqtalon se uThae main ne
phul se jism doston ke

ai zamin teri azmaton mein
bah gae shahr wahimon ke