rah-naward-e-bayaban-e-gham sabr kar sabr kar
karwan phir milenge baham sabr kar sabr kar
be-nishan hai safar raat sari paDi hai magar
aa rahi hai sada dam-ba-dam sabr kar sabr kar
teri fariyaad gunjegi dharti se aakash tak
koi din aur sah le sitam sabr kar sabr kar
tere qadmon se jagenge ujDe dilon ke KHutan
pa-shikasta ghazal-e-haram sabr kar sabr kar
shahr ujDe to kya hai kushada zamin-e-KHuda
ek naya ghar banaenge hum sabr kar sabr kar
ye mahallat-e-shahi tabahi ke hain muntazir
girne wale hain un ke alam sabr kar sabr kar
daf bajaenge barg o shajar saf-ba-saf har taraf
KHushk miTTi se phuTega nam sabr kar sabr kar
lahlahaengi phir khetiyan karwan karwan
khul ke barsega abr-e-karam sabr kar sabr kar
kyun paTakta hai sar sang se ji jala Dhang se
dil hi ban jaega KHud sanam sabr kar sabr kar
pahle khil jae dil ka kanwal phir likhenge ghazal
koi dam ai sarir-e-qalam sabr kar sabr kar
dard ke tar milne to de honT hilne to de
sari baaten karenge raqam sabr kar sabr kar
dekh 'nasir' zamane mein koi kisi ka nahin
bhul ja us ke qaul o qasam sabr kar sabr kar
Ghazal
Rah-naward-e-bayaban-e-gham sabr kar sabr kar
Nasir Kazmi