rah kar bhi tujh se dur tere aas-pas hun
hijran mein jal rahi hun main jaise kapas hun
qabza kiya hai kis ne ye mere shuur par
ek umr ho gai hai mujhe bad-hawas hun
duniya na dekh paegi tera koi bhi aib
mujh ko pahan ke dekh main tera libas hun
jis se mera sukun bhi dekha nahin gaya
dawa wo kar raha hai tera gham-shanas hun
main muskura ke baat to karti hun ai 'siya'
ab kis ko main bataun ki kitni udas hun
Ghazal
Rah kar bhi tujhse dur tere aas-pas hun
Siya sachdev

