اردو हिंदी
Rah gaya dida-e-pur-ab ka saman ho kar | Shaahi Shayari
rah gaya dida-e-pur-ab ka saman ho kar

Ghazal

Rah gaya dida-e-pur-ab ka saman ho kar

Azhar Naqvi

;

rah gaya dida-e-pur-ab ka saman ho kar
wo jo rahta tha mere sath meri jaan ho kar

jaane kis shoKH ke aanchal ne shararat ki hai
chand phirta hai sitaron mein pareshan ho kar

aate-jate hue dastak ka takalluf kaisa
apne ghar mein bhi koi aata hai mehman ho kar

ab to mujh ko bhi nahin milti meri koi KHabar
kitna gumnam hua hun main numayan ho kar

wo mere sahn mein utre hain ujale kahiye
sham takti hai dar-o-baam ko hairan ho kar

main ne us shaKHs se sikha hai takallum ka hunar
wo jo mahfil mein bhi rahta tha gurezan ho kar

ujDi ujDi si hawa KHak-ba-sar aati hai
sham utri hai kahin sham-e-ghariban ho kar

ek hangama sa yaadon ka hai dil mein 'azhar'
kitna aabaad hua shahr ye viran ho kar