اردو हिंदी
Rah-e-wafa se main ek gam bhi haTa to nahin | Shaahi Shayari
rah-e-wafa se main ek gam bhi haTa to nahin

Ghazal

Rah-e-wafa se main ek gam bhi haTa to nahin

Iftikhar Aazmi

;

rah-e-wafa se main ek gam bhi haTa to nahin
lahuluhan hua hun magar Dara to nahin

nazar mein shaiba-e-KHauf kis liye aae
ye sail-e-jabr hujum-e-barhana-pa to nahin

khinchaw hota hai mahsus KHun ke qatron mein
ye ruh-e-asr kahin ruh-e-karbala to nahin

ajab tanaw hai mahaul mein kahen kis se
kahin pe aaj koi hadsa hua to nahin

labon pe harf-e-wafa hai to phir nigahon mein
ye KHauf kyun ho kahin koi dekhta to nahin