rah-e-talab mein bane wo nashtar idhar se jate udhar se aate
chubhe jo kanTe qadam qadam par idhar se jate udhar se aate
kahin na thak kar ruke koi dam tawaf-e-bazm-e-habib mein hum
mile hain dair-o-haram bhi aksar idhar se jate udhar se aate
jo hasrat-e-jalwa thi kisi ki to KHak uDai na kyun gali ki
hamein lagana tha roz chakkar idhar se jate udhar se aate
agar bulata bhi apne ghar mein to hum ko rakhta na wo nazar mein
bahaal-e-muztar ba-shakl-e-abtar idhar se jate udhar se aate
hue pareshan sab musafir na nikli surat koi bil-aKHir
jo rah masdud thi to kyunkar idhar se jate udhar se aate
nazar thi gahri kahan kisi ki ye rah-e-ulfat mein kya KHabar thi
chubhenge nawak chalenge KHanjar idhar se jate udhar se aate
wo ishq-e-sadiq ki pak manzil wo kaba-o-dair ke marahil
mile the raste mein hum ko do ghar idhar se jate udhar se aate
hujum tha mai-kade mein aisa ki daur ka intizam kaisa
jo rah pate to jam-o-saghar idhar se jate udhar se aate
phira kiye aap rahguzar mein kabhi na Thahre hamare ghar mein
karam ye karna tha banda-parwar idhar se jate udhar se aate
talash-e-manzil buri bala thi na thi jo qahr-o-ghazab to kya thi
jagah jagah hum ne khai Thokar idhar se jate udhar se aate
laga rahe hain fuzul chakkar jhukaen sar un ke sang-e-dar par
hum aazmaen kabhi muqaddar idhar se jate udhar se aate
mariz-e-ulfat ka dam nikalta na kuchh tag-o-dau ka zor chalta
wo hath rakkhe hue jigar par idhar se jate udhar se aate
churain kyun aap ne nigahen ki ho gain band dil ki rahen
maza to jab tha ye tir aksar idhar se jate udhar se aate
kahin ho aana kahin ho jaana magar hai bistar yahin jamana
hamein Thaharna tumhaare dar par idhar se jate udhar se aate
maqam-e-qurb-e-KHuda tha mushkil magar na thi un ko fikr-e-manzil
mile jinhen 'nuh' se payambar idhar se jate udhar se aate
Ghazal
Rah-e-talab mein bane wo nashtar idhar se jate udhar se aate
Nooh Narvi