اردو हिंदी
Rah-e-ishq-o-wafa hai aur main hun | Shaahi Shayari
rah-e-ishq-o-wafa hai aur main hun

Ghazal

Rah-e-ishq-o-wafa hai aur main hun

Minu Bakshi

;

rah-e-ishq-o-wafa hai aur main hun
ye tera naqsh-e-pa hai aur main hun

nigahon mein hai zanjir-e-mohabbat
teri zulf-e-dota hai aur main hun

shab-e-aKHir faza-e-dil mein phaili
KHamoshi ki rida hai aur main hun

yahi hai muKHtasar si apni duniya
ye mera aaina hai aur main hun

wahi hai hijr ki rut ki udasi
wahi qatil hawa hai aur main hun

nazar mein hai koi KHun-rez manzar
koi zaKHmi sada hai aur main hun

KHuda hi jaane hone wala kya hai
teri qatil ada hai aur main hun

mujhe kya lena dena hai jahan se
KHayal-e-dil-ruba hai aur main hun

wahi hai baadiya-paimai apni
wahi aab-o-hawa hai aur main hun