raghbat hai jin ko wasl ki tere wajud se
tahlil ho rahe hain fazaon mein dud se
markaz bana hun dida-e-arabab-e-ghaib ka
laya gaya hai mujh ko jahan-e-shuhud se
kafir bata ke qatl unhen kar diya gaya
marub ho sake jo na dagh-e-sujud se
kamre mein aa ke baiTha hun apne bujha bujha
jal jal ke teri mahfil-e-raqs-o-surud se
ek ek naqsh ubhaar dun tere jamal ka
aage nikal ke fikr ki sari quyud se
wahshat mein noch khaun na 'zishan' KHud ko main
chal dur mujh ko le ke tu meri hudud se
Ghazal
Raghbat hai jinko wasl ki tere wajud se
Zeeshan Ilahi