rafta rafta KHatm qissa ho gaya hona hi tha
wo bhi aaKHir mere jaisa ho gaya hona hi tha
dasht-e-imkan mein ye mera mashghala bhi KHub hai
rauzan-e-diwar chehra ho gaya hona hi tha
Dubta suraj tumhaari yaad wapas kar gaya
sham aai zaKHm taza ho gaya hona hi tha
ahd-e-zabt-e-gham pe qaim tha dam-e-ruKHsat magar
wo sukut-e-jaan bhi dariya ho gaya hona hi tha
ab tu hi ye fasla tai kar sake to kar bhi le
main to KHud apna hi zina ho gaya hona hi tha
main ne bhi parchhaiyon ke shahr ki phir rah li
aur wo bhi apne ghar ka ho gaya hona hi tha
Ghazal
Rafta rafta KHatm qissa ho gaya hona hi tha
Ashar Najmi