rafta rafta dil-e-be-tab Thahar jaega
rafta rafta teri nazron ka asar jaega
dad be-dad ki is mein koi taKHsis nahin
naqsh-e-hasti mein koi rang to bhar jaega
aap agar mail-e-tajdid-e-sitam ho jaen
rang-e-talim-e-wafa aur nikhar jaega
arz-e-tishna pe baras abr-e-rawan khul ke baras
baat rah jaegi ye waqt guzar jaega
dhup aur chhanw musallam magar apni had mein
waqt paband nahin hai ki Thahar jaega
raushni mein hai charaghon ke tale tariki
hum samajhte the ki mahaul sanwar jaega
ishq to apni jagah kaif-e-musalsal hai 'uruj'
nashsha-e-baada nahin hai jo utar jaega

Ghazal
Rafta rafta dil-e-be-tab Thahar jaega
Urooj Zaidi Badayuni