rafta rafta dard-e-dil yun kam ho jata hai
mera gham us ki KHushiyon mein zam ho jata hai
sanson ka sanson se jab sangam ho jata hai
resha resha ruh ka tab resham ho jata hai
koi kashish hai us ki baaton mein bartao mein
us ke aage har chehra mubham ho jata hai
yahi soch kar tum dil ki rakhwali karna dost
kaDi dhup mein ye kaghaz bhi nam ho jata hai
jaane kaise mera qad auron ki nazron mein
kabhi ziyaada aur kabhi kuchh kam ho jata hai
sath nibhane ki Thani hai to ye bhi sun lo
in rahon mein saya bhi barham ho jata hai
jism thaka-manda ho lekin ghar tak aate hi
ek masum hansi se taza-dam ho jata hai
Ghazal
Rafta rafta dard-e-dil yun kam ho jata hai
Pawan Kumar