rabt bhi toDa bani nit ki talab ka base bhi
patr bhi is ne likhe bheje mujhe sandes bhi
chaukhaTa dil ka yahan hai hu bahu tujh sa koi
honT bhi aankhen bhi chhab Dhab bhi tujhi sa face bhi
zist ke path par nahin hona tha tujh mujh mein milap
har janam mein prit ne dekhe badal kar bhes bhi
put ki saDi gulabi aaftabi jism par
laT gundhi choTi ribbon shanon pe sanwre kes bhi
tujh se bichhDe ganw chhoTa shahr mein aakar base
taj diye sab sangi-sathi tyag Dala des bhi
bas asasa hai yahi ghar ka yahi ghar ki mataa
sofa ek do bed kitaben aur ek show kes bhi
shairi mein bazuon ke sath dil bhi shal hua
aaKHirash majbur ho kar haar di ye race bhi
niche in jharnon pe wadi mein kise ja kar milun
sang ek sautan ke beri pi gae pardes bhi
jaanta tha kaun jite hain yahi kuchh dekhne
dil pe sah lenge mohabbat mein birah ki Thes bhi
Ghazal
Rabt bhi toDa bani nit ki talab ka base bhi
Nasir Shahzad