raaz hai bahut gahra baat ek zara si hai
wo main samne phir bhi chashm-e-shauq pyasi hai
zindagi bhi barham hai maut bhi KHafa si hai
aaj-kal to donon mein aap ki udasi hai
apni anjuman se hum ye kahan chale aae
har taraf andhera hai har taraf udasi hai
dagh-e-dil ko raushan kar gham ki raat hai lambi
shama ka bharosa kya mah bhi bewafa si hai
aap hazrat-e-wais pahle KHud ko pahchanen
kyunki KHud-shanasi hi wajh-e-haq-shanasi hai
jam is liye apna aansuon se bharta hun
jis nazar se pita tha aaj wo bhi pyasi hai
yun to hijr ki raaten rose hi guzarti hain
aaj ai 'saba' lekin subh se udasi hai

Ghazal
Raaz hai bahut gahra baat ek zara si hai
Saba Afghani