raaz-e-hasti se aashna na hua
na hua aadmi KHuda na hua
harf rakhta hai jo nigahon par
ru-ba-ru is ke aaina na hua
tu to shah-rag ke pas tha lekin
tai hamin se ye fasla na hua
rakh diya mujh pe farz-e-KHidmat-e-KHalq
jab koi mujh sa dusra na hua
us ki dariya-dili KHuda rakkhe
arz hum se hi muddaa na hua

Ghazal
Raaz-e-hasti se aashna na hua
Ram Awtar Gupta Muztar