اردو हिंदी
Raaz-e-dil late hain zaban tak hum | Shaahi Shayari
raaz-e-dil late hain zaban tak hum

Ghazal

Raaz-e-dil late hain zaban tak hum

Hasan Barelvi

;

raaz-e-dil late hain zaban tak hum
dukh bharen ai KHuda kahan tak hum

aur wo hum se khinchte jate hain
minnaten karte hain jahan tak hum

na uDa baghban ki gulshan-e-dil
aur hain aamad-e-KHizan tak hum

aap ke lutf ne to qahr kiya
KHub the jaur-e-asman tak hum

aasman tak gaya hai sail-e-sarishk
dil ko roya karen kahan tak hum

un ka aana bhi ab nahin manzur
jaan se tang hain yahan tak hum

tera paigham bhi suna denge
ai 'hasan' pahunchen to wahan tak hum