اردو हिंदी
Raaz-e-dil jo teri mahfil mein bhi ifsha na hua | Shaahi Shayari
raaz-e-dil jo teri mahfil mein bhi ifsha na hua

Ghazal

Raaz-e-dil jo teri mahfil mein bhi ifsha na hua

Khatir Ghaznavi

;

raaz-e-dil jo teri mahfil mein bhi ifsha na hua
ya sar-e-dar hua ya sar-e-mai-KHana hua

ek hum hain ki tasawwur ki tarah sath rahe
ek tu hai ki jo KHalwat mein bhi tanha na hua

kya bharosa hai tere lutf-o-karam ka ai dost
jis tarah saya-e-diwar hua ya na hua

shabnamistan mein utar aai thi suraj ki kiran
aaina-KHana-e-gul tha ki sanam-KHana hua

is qadar ranj sahe dil ne wafa mein 'KHatir'
aaj wo hum se jo bichhDe bhi to sadma na hua