raaz apna jo kah diya tu ne
dil-e-nadan ye kya kiya tu ne
dard-e-dil ki na ki dawa tu ne
na suni meri iltija tu ne
saf hai kis qadar ye dad-e-dast
dil diya main ne aur liya tu ne
nazr main ne kiya jo apna dil
is ke badle mein kya diya tu ne
ho ewaz ya na ho karam hai tera
dil-e-muztar to le liya tu ne
rah par muD ke kyun mujhe dekha
ki mohabbat ki ibtida tu ne
wada kar ke jo le liya wapas
ai sitamgar ye kyun kiya tu ne
nahin pahlu mein jab qayam-o-qarar
ai KHuda kyun ye dil diya tu ne
dil lagaya tha ek se 'hafiz'
ai KHuda kyun kiya juda tu ne
mujh ko paida kiya KHuda tu ne
aur sab kuchh ata kiya tu ne
teri rahmat ka kuchh hisab nahin
di hai har dard ki dawa tu ne
kar ke tauba sambhal gaya aasi
phir bhi us ko bacha liya tu ne
di hain duniya mein neamaten kya kya
apne bandon ko ai KHuda tu ne
pahle batla diya gunah hai kya
afw ki us ki phir KHata tu ne
dur phenka na baad-e-murdan bhi
pas apne bula liya tu ne
rahm tera ghazab pe ghaalib hai
kyun banai saza jaza tu ne
naz us ne uThae ai 'hafiz'
rah ke duniya mein kya kiya tu ne

Ghazal
Raaz apna jo kah diya tu ne
Mohammad Wilayatullah