raaten guzarne ko teri rahguzar ke sath
ghar se nikal paDa hun main diwar-o-dar ke sath
dastak ne aisa hashr uThaya ki der tak
larzan raha hai jism bhi zanjir dar ke sath
kashkol thamte hain kaf-e-eatibar se
karte hain hum gadagari lekin hunar ke sath
ab kis tarah ye Tokari sar pe uThaun main
suraj paDa hua hai mere baam-o-dar ke sath
suraj usi tarah hai ye mahtab usi tarah
Dhalte rahe hain yar hi sham-o-sahar ke sath
yun hai meri uDan pe bhaari mera wajud
jaise zamin bandhi ho mere baal-o-par ke sath
'tabish' mujhe safar ki riwayat ka pas tha
so main bhi rah bana ke chala rahguzar ke sath
Ghazal
Raaten guzarne ko teri rahguzar ke sath
Abbas Tabish