raat wahshat se gurezan tha main aahu ki tarah
panw paDti rahi zanjir bhi ghungru ki tarah
ab tere lauT ke aane ki koi aas nahin
tu juda mujh se hua aankh se aansu ki tarah
ab hamein apni jihaalat pe hansi aati hai
hum kabhi KHud ko samajhte the arastu ki tarah
han tujhe bhi to mayassar nahin tujh sa koi
hai tera arsh bhi viran mere pahlu ki tarah
naz o andaz mein shaista sa wo husn-e-nafis
hu-ba-hu jaan-e-ghazal hai meri urdu ki tarah
Ghazal
Raat wahshat se gurezan tha main aahu ki tarah
Ata Turab