raat sunsan dasht o dar KHamosh
chand tare shajar hajar KHamosh
koi aawaz-e-pa na bang-e-jaras
karwan aur is qadar KHamosh
har taraf ek muhib sannaTa
dil dhaDakta to hai magar KHamosh
hue jate hain kis liye aaKHir
ham-safar baat baat par KHamosh
hain ye aadab-e-rahguzar ki KHauf
rah-rau chup hain rahbar KHamosh
muKHtasar ho na ho shab-e-tarik
hum ko jalna hai ta sahar KHamosh
Dhal chuki raat bujh gain shamen
rah takti hai chashm-e-tar KHamosh
jaane kya baat kar rahe the ki hum
ho gae ek nam par KHamosh
hum se 'shair' bhi ho gae aaKHir
rang-e-haalat dekh kar KHamosh
Ghazal
Raat sunsan dasht o dar KHamosh
Himayat Ali Shayar