اردو हिंदी
Raat main shana-e-idrak se lag kar soya | Shaahi Shayari
raat main shana-e-idrak se lag kar soya

Ghazal

Raat main shana-e-idrak se lag kar soya

Rafi Raza

;

raat main shana-e-idrak se lag kar soya
band ki aankh to aflak se lag kar soya

unghta tha kahin mehrab ki sarshaari mein
ek diya sa kisi chaqmaq se lag kar soya

ek jalta hua aansu jo nahin sota tha
der tak dida-e-namnak se lag kar soya

an-ginat aankhen mere jism pe chundhyai rahin
buqa-e-nur meri KHak se lag kar soya

kuza-gar ne mere bare mein ye daftar mein likha
chaak se utra magar chaak se lag kar soya

nind ki shart thi tanha nahin sona mujh ko
hijr tha so usi saffak se lag kar soya

raat kanTon pe guzari to sawere socha
kis liye KHema-e-ushshaq se lag kar soya

nind suli pe chali aai sau zaKHm-e-uryan
apni ek KHwahish-e-poshak se lag kar soya