اردو हिंदी
Raat main is kashmakash mein ek pal soya nahin | Shaahi Shayari
raat main is kashmakash mein ek pal soya nahin

Ghazal

Raat main is kashmakash mein ek pal soya nahin

Amjad Islam Amjad

;

raat main is kashmakash mein ek pal soya nahin
kal main jab jaane laga to us ne kyun roka nahin

yun agar sochun to ek ek naqsh hai sine pe naqsh
hae wo chehra ki phir bhi aankh mein banta nahin

kyun uDati phir rahi hai dar-ba-dar mujh ko hawa
main agar ek shaKH se TuTa hua patta nahin

aaj tanha hun to kitna ajnabi mahaul hai
ek bhi raste ne tere shahr mein roka nahin

harf barg-e-KHushk ban kar TuTte girte rahe
ghuncha-e-arz-e-tamanna honT par phuTa nahin

dard ka rasta hai ya hai saat-e-roz-e-hisab
saikaDon logon ko roka ek bhi Thahra nahin

shabnami aankhon ke jugnu kanpte honTon ke phul
ek lamha tha jo 'amjad' aaj tak guzra nahin