اردو हिंदी
Raat kya kya mujhe malal na tha | Shaahi Shayari
raat kya kya mujhe malal na tha

Ghazal

Raat kya kya mujhe malal na tha

Jurat Qalandar Bakhsh

;

raat kya kya mujhe malal na tha
KHwab ka to kahin KHayal na tha

aaj kya jaane kya hua hum ko
kal bhi aisa to ji niDhaal na tha

bole sab dekh meri jaan-kawi
ye to farhad ka bhi haal na tha

jab talak hum na chahte the tujhe
tab tak aisa tera jamal na tha

ab to dil lag gaya hai kyun ki na aaen
pahle kahte to kuchh muhaal na tha

Tal gaya dekh yun tera abru
ki goya charKH par hilal na tha

Tuk na Thahra mere wo pas aa kar
kuchh tamasha tha ye visal na tha

dekh shab apne rashk-e-laila ko
dang tha main to mujh mein haal na tha

sun ke bola tamam qissa-e-qais
ishq ka us ko bhi kamal na tha

itna roya lahu tu kab 'jurat'
abhi daman tera to lal na tha