raat ko KHwab ho gai din ko KHayal ho gai
apne liye to zindagi ek sawal ho gai
Dal ke KHak chaak par chal diya aaise kuza-gar
jaise numud-e-KHushk-o-tar ru-ba-zawal ho gai
phul ne phul ko chhua jashn-e-visal to hua
yani koi nibah ki rasm bahaal ho gai
tujh ko kahan se khojta jism zamin pe bojh tha
aaKHir isi takan se ruh niDhaal ho gai
kaun tha aisa ham-safar kaun bichhaD gaya 'zafar'
mauj-e-nashat-e-rahguzar waqf-e-malal ho gai

Ghazal
Raat ko KHwab ho gai din ko KHayal ho gai
Sabir Zafar