raat ki zulf kahin ta-ba-kamar khul jae
hum pe bhi chand sitaron ki Dagar khul jae
thak gai nind mere KHwab ko Dhote Dhote
kya tajjub hai meri aankh agar khul jae
mera sarmaya mere paon ke chhaalon ki tapak
raste mein hi na sab zad-e-safar khul jae
aaj dariya nahin kuze mein samane wala
waqt hai mujh pe mera zoam-e-hunar khul jae
sab musafir hain nai rah ki sab ko hai talash
sab pe mumkin to nahin rah-e-digar khul jae
apni tanhai mein mahbus hun muddat se 'nadim'
tu agar sath ho diwar mein dar khul jae

Ghazal
Raat ki zulf kahin ta-ba-kamar khul jae
Nadeem Fazli