raat ki ghaar mein utarne ka
aa gaya waqt phir bikharne ka
us ki raftar se to lagta hai
wo kahin bhi nahin Thaharne ka
nind TuTi to mujh ko chain paDa
KHwab dekha tha apne marne ka
tan se patthar bandhe hue hain mere
main nahin sath par ubharne ka

Ghazal
Raat ki ghaar mein utarne ka
Vikas Sharma Raaz