raat ke pichhle pahar ek sansanahaT si hui
aur phir ek aur phir ek aur aahaT si hui
dafatan zanjir khanki yak-ba-yak paT khul gae
shama ki lau mein achanak thartharahaT si hui
KHasta-e-diwar-o-dar yak-bargi hilne lage
taq thi viran lekin jagmagahaT si hui
ek paikar sa dhuen ke bich lahrane laga
nim-wa honTon pe raqsan muskurahaT si hui
phir bhayanak raat phir pur-haul sannaTa 'zubair'
phir khanDar mein shahparon ki phaDphaDahaT si hui
Ghazal
Raat ke pichhle pahar ek sansanahaT si hui
Zubair Shifai