raat ke parde mein ek nur ka sailab bhi hai
dasht-e-zulmat mein kahin wadi-e-mahtab bhi hai
bahr-e-pursish hi sahi aaj tera aa jaana
ek hi waqt mein tabir bhi hai KHwab bhi hai
asliyat dekh mere chaak-e-gareban pe na ja
ishq chahe to bahut sahab-e-asbab bhi hai
tu ne socha hai kabhi jalwa-e-arzan ke asir
jis ko mahtab samajhta hai wo mahtab bhi hai
waqt ki tez rawani se hai dahshat warna
yahi dariya jo Thahar jae to payab bhi hai

Ghazal
Raat ke parde mein ek nur ka sailab bhi hai
Muzaffar Mumtaz