اردو हिंदी
Raat ke dar pe ye dastak ye musalsal dastak | Shaahi Shayari
raat ke dar pe ye dastak ye musalsal dastak

Ghazal

Raat ke dar pe ye dastak ye musalsal dastak

Hanif Fauq

;

raat ke dar pe ye dastak ye musalsal dastak
aamad-e-subh-e-farozan ka pata deti hai

phunk Dalegi ye ek roz qaba-e-sayyaad
aatish-e-gul ko saba aur hawa deti hai

tirgi-zadon se kab nur ka sailab thame
faisla waqt ka tariKH suna deti hai

aanch aati hai sitaron se jo kuchh pichhle pahar
KHwab-e-shirin se nigaron ko jaga deti hai

kitni nadida bahaaron ki tamanna-e-jawan
daman-e-jaan mein mere aag laga deti hai

sina-e-sang mein betab hai wo kawish-e-shauq
jo haqiqat ko bhi KHwabon ki ziya deti hai

sham-e-mehrab-e-wafa ban ke hayat-e-ruswa
dil-nigari ka meri kuchh to sila deti hai