raat ke andhe darichon ko munawwar dekhte
hum khuli aaankhon se jo KHwabon ke manzar dekhte
band rakkhe KHud hamin ne jab sabhi diwar-o-dar
kis tarah phir jhank kar us ghar ke andar dekhte
kab hamare hath aain KHwahishon ki titliyan
umr guzri bas yunhi rangon ke paikar dekhte
mauja-e-tufan mein utre ahl-e-dil be-iKHtiyar
sahilon par rah gae sare shanawar dekhte
zindagi ki gahmagahmi ne ye fursat hi na di
hum hatheli par likha apna muqaddar dekhte
sahilon ki ret hi se chun rahe ho sipiyan
tum kabhi 'akram' samundar mein utar kar dekhte

Ghazal
Raat ke andhe darichon ko munawwar dekhte
Peer Akram