raat ka tarik-tar patthar jigar pani karen
hum bhala kis ke liye ye kar-e-la-sani karen
din to din raaton ko bhi ye apni man-mani karen
mamlikat par dil ki yaaden jaise sultani karen
bas gae hain aankh mein manzar pas-e-manzar sarab
hum kahan tak apne KHwabon ki nigahbani karen
ek tilismi rang mein kho jaen jab chehre tamam
farz hai aankhon pe kya izhaar-e-hairani karen
ab to sare faisle hain sang-dil raaton ke hath
ye agar chahen to phir KHwabon ki arzani karen
jab udas aankhen dilon se guftugu karne lagen
phir to lab bekar hi zikr-e-pashemani karen
Ghazal
Raat ka tarik-tar patthar jigar pani karen
Shoaib Nizam

