raat ka pichhla pahar kaisi nishani de gaya
munjamid aaankhon ke dariya ko rawani de gaya
main sadaqat ka alam-bardar samjha tha jise
wo bhi jab ruKHsat hua to ek kahani de gaya
pahle apna tajziya karne pe uksaya mujhe
phir natija-KHeziyon ko be-zabani de gaya
kyun ujalon ki nawazish ho rahi hai har taraf
kya koi bujhte charaghon ko jawani de gaya
kyun na is aawara baadal ko duaen dijiye
jo samundar ko KHalish sahra ko pani de gaya
Ghazal
Raat ka pichhla pahar kaisi nishani de gaya
Iqbal Ashhar